A ALEGRIA INVADIU MINHA ALMA

A ALEGRIA INVADIU MINHA ALMA
Big Meu Lindo.

sábado, 22 de julho de 2017

SAD



Mujhe Tan Se Zyada, Us Ka Mann Acha Laga Tha
Aur Us Ki Shakhsiyat Ka Baankpan Acha Laga Thaa
Gharaz Mujh Ko Nahin Thi Zaahirii Surat Se Us Ki
Mujhe To Sirf Andaz-e-sukhan Achcha Laga Tha
Vo Sidhi Baat Bhi Kartaa Tha Aksar Shaayri Me
Mujhe Uss Kaa Yehi Diwaanaapan Achcha Laga Tha
Zamaanaa Keh Rahaa Thaa Us Ke Baare Men Fasane
Magar Mujh Ko To Us Kaa Har Chalan Achchhaa Laga Tha
Dhanak Ke Rang Hi Bhaate Hain Aksar Larkiyon Ko
Mujhe Tau Eik Saadaa Pairahan Achchhaa Lagaa Tha
Bane Alfaaz Angaare Tau Ab Hairaan Huun Main
Ke Us Lahje Kaa Mujh Ko Dhiimaapan Achchhaa Lagaa Tha
Mire Baalon Ki Chaandii Se Gurezaa Aaj Hai Wo
Jise Kal Mera Chaandii Saa Badan Achchhaa Lagaa Tha
Vo Jis Dam Us Ne Mujh Se Khelne Ko Chaand Maangaa
Mujhe Bachche Kaa Apne, Bholaapan Achchhaa Lagaa Tha
Pariindaa Laut Ke Vaapas Qafas Men Aa Gayaa Hai
Jise Phailaa Huvaa Niilaa Gagan Achchhaa Lagaa Tha


Nenhum comentário:

Postar um comentário